Roman script

aandhi aaye ki tufan koi gum nahi

hai yahi aakhiri imtihan sathiyo

imtihan sathiyo

yu badho jaise lahrake dhara badhe

thokre khaye to dil hamara badhe

is tarah jam ke tufaa me rakho kadam

ke kadam chumne ko kinara badhe

badh ke manzil ka sukh chain ban jayengi

badh ke manzil ka sukh chain ban jayengi

rashto ki ye kathinaiya sathiyo, sathiyo, sathiyo

ajnabi mod kato bhari rahgujar

jaal nafrat ke faile hai dekho jidhar

chup rahoge to badh jayengi duriya

bat karne se aasan hoga safar

jis juba me sunao sunao magar

jis juba me sunao sunao magar

aaj tum pyar ki dasta sathiyo, sathiyo, sathiyo

katal-o-barak se hum pyar karte nahi

thandi lasho ka vyopar karte nahi

jiska jo bhi watan hai mubarak use

hum kabhi sarhade paar karte nahi

hai ye dharti hamari to lahrayenge

hai ye dharti hamari to lahrayenge

apni dharti pe apna nishaa sathiyo, sathiyo, sathiyo

Explore this song