Roman script

aaja re pardesi, mai to kab se khadi is paar

ye ankhiya thak gayi panth nihaar

aaja re pardesi, mai to kab se khadi is paar

ye ankhiya thak gayi panth nihaar

aaja re pardesi

mai diye ki aisi baati jal na saki jo bujh bhi na paati

mai diye ki aisi baati jal na saki jo bujh bhi na paati

aa mil mere jivan saathi, o 

aaja re, mai to kab se khadi is paar

ye ankhiya thak gayi panth nihaar

aaja re pardesi

tum sang janam janam ke phere bhul gaye kyu saajan mere 

tum sang janam janam ke phere bhul gaye kyu saajan mere 

tadapat hu mai saanjh savere, o 

aaja re, mai to kab se khadi is paar 

ye ankhiya thak gayi panth nihaar

aaja re pardesi

mai nadiya phir bhi mai pyasi, bhed ye gahra baat zara si

mai nadiya phir bhi mai pyasi, bhed ye gahra baat zara si

bin tere har raat udaasi, o 

aaja re, mai to kab se khadi is paar 

ye ankhiya thak gayi panth nihaar

aaja re pardesi

Explore this song