Roman script

aa ki ab aata nahi dil ko karar

aa ki ab aata nahi dil ko karar

raah takte thak gaya hai intzar

aa ki ab aata nahi dil ko karar

kis kadar bechain hai dunia meri

kis kadar bechain hai dunia meri

dil ki har dhadkan me hai aahat teri

aa ab mai ho rahu mai bekarar

aa ki ab aata nahi dil ko karar

dil sadaye de raha hai tu kaha

dil sadaye de raha hai tu kaha

muntzir ho chand tare aasma 

ye hawaye ye fizaye ye bahar 

aa ke ab aata nahi dil ko karar

sath tere wo hasi raate gayi

sath tere wo hasi raate gayi

pyar ki rangin mulakaate gayi

rah gaya hai dard dil ki yadgar

aa ke ab aata nahi dil ko karar

aa ke ab aata nahi dil ko karar

raah takte thak gaya hai intzar

aa ke ab aata nahi dil ko karar

Explore this song