Roman script

aa ja, aa ja, aa ja

aa, aa ja

aa ja, aa ja, aa ja

bichhde huye saajan

bichhde huye saajan jis desh gaya hai

jis desh gaya hai

us desh ka rasta sapne me dikha ja

aa ja, aa ja, aa ja

aa, aa ja

birha ne kaleja yu kar diya chhalni

birha ne kaleja yu kar diya chhalni

jaise koi bansi

jaise koi bansi

jungle me padi ho aaho se bhari ho

hotho se laga ke

hotho se laga ke aaho me sama ke

tu geet bana ja

aa ja, aa ja, aa ja

aa, aa ja

ho nain me aise

ho nain me aise jo seep me moti

aur pran me aise jo deep me jyoti

aur pran me aise jo deep me jyoti

sota hua deepak pal bhar ko jaga ja

aa ja, aa ja, aa ja

aa, aa ja

Explore this song