Roman script

Jise dil mein basana chaha tha
Usse dil mein apne basa na sakey

Aur ab ye tamanna hai dil ki

Hamein yaad bhi kuchh bhi aa na sakey

Dhokha yeh tera kab tak chalta

Jo haal tha aakhir khul ke raha

Jo haal tha aakhir khul ke raha

Dil toot gaya achha hi hua

Hum aur to thokar kha na sakey

Jise dil mein basana chaha tha

Usse dil mein apne basa na sakey

Ab aur nahin uljhan koi

Ek tees abhi tak baaki hai

Ek tees abhi tak baaki hai

Kyun gair ko hum apna samjhe

Is gham ko dil se bhula na sake

Jise dil mein basana chaha tha

Usse dil mein apne basa na sakey

Aur ab ye tamanna hai dil ki

Hamein yaad bhi kuchh bhi aa na sakey.

हिंदी में गीत

जिसे दिल में बसाना चाहा था
उसे दिल में अपने बसा न सके

और अब ये तमन्ना है दिल की

हमें याद भी कुछ भी आ न सके

धोखा ये तेरा कब तक चलता

जो हाल था आखिर खुल के रहा

जो हाल था आखिर खुल के रहा

दिल टूट गया अच्छा ही हुआ

हम और तो ठोकर खा न सके

जिसे दिल में बसाना चाहा था

उसे दिल में अपने बसा न सके

अब और नहीं उलझन कोई

एक टीस अभी तक बाकी है

एक टीस अभी तक बाकी है

क्यों गैर को हम अपना समझे

इस ग़म को दिल से भुला न सके

जिसे दिल में बसाना चाहा था

उसे दिल में अपने बसा न सके

और अब ये तमन्ना है दिल की

हमें याद भी कुछ भी आ न सके।

Explore this song