Roman script
Yeh kaisi mulaqat hai Jaise sadiyon se tum meri jaan ho Ab kaise, main yeh samjhaaun Kitne arso se tumhaara hi mujhe Intezar hai Oh oh.. Tum jo paas aayi chumne ka yun bahaana leke Tabse tum meri ho dastaan Chaand ko bulaakar tumne chamkaayi meri jo raatein Tabse main tumahara hi hua Dono hi kalaiyon pe chaandi hai saji Hothon pe jo laali hai dil mein bas gayi Yeh milan kaisi, aag hai Jal jaane ki hi, aas hai Madhoshi ho ya nah bhi ho Is pyaar ki gehraayi ka koi Inteha nahi Ooh ooh x(2) Naachne ka mann kare toh, jhoom lenge hum Aur sitaaron ke bageechey, ghoom lenge hum Thodi si mazaakiya bhi baatein hum karenge Mil gaya hai aashiayan hum aakhon se kahenge Yun hota hai pyaar kyun Thoda dar bhi hai, thoda junoon Hai gawah, mehfil ki betabi Jane kaise koi keh sake ki yeh Itefaaq hai Ooh ooh x(2) Yeh kaisi mulaqat hai Jaise sadiyon se tum meri jaan ho Ab kaise, main yeh samjhaaun Kitne arso se tumhaara hi mujhe Intezar hai Ooh ooh, ye kaisi mulaqat hai 4(x)
Song details
- Singer: Prateek Kuhad
- Composer: Prateek Kuhad, Sickflip
- Lyricist: Prateek Kuhad
Song video
director: Lendrick Kumar
choreography: Dancing Ninja
director of photography: Prayoon Sajeev
music label: Elektra Records, Warner Music Group India