Raat Aati Hai To Har Dard Chamak Uthata Hai - रात आती है तो हर दर्द चमक उठता है lyrics by Manna Dey

Table of Contents: Lyrics
Raat Aati Hai To Har Dard Chamak Uthata Hai - रात आती है तो हर दर्द चमक उठता है
Artist:Manna Dey
Album:Ek Gunah Aur Sahi
Year:1980
Genre:song
Lyricist:Jan Nisar Akhtar
Music Director:Jaidev

Lyrics

rat aati hai to har dard chamak uthata hai
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
aasma chup hai fija chup hai
sitare chup hai dil dhadakne 
ke siva koi bhi aawaz nahi 
koi dastak hai na aahat hai na kadmo ki sada 
rat ke hath me is wqat koi saz nahi koi saz nahi
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
dard aur dard bhi dasti huyi tanhai ka
aisa lagta hai ke jina bhi saza ho jaise
kitni bojhal hai fija sans ghuti jati hai
ek pathar hai ke sine pe dhara ho jaise
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
rat aati hai to har dard chamak uthata hai
kabhi lagta hai isi hal me jina hoga
aur kuch din mere jine ka yahi taur sahi 
kabhi kahta hai ye khamosh andhera mujhse
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi  
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details