Roman script
Chand alfaz hi sahi Kuch kehta tu hai Yaad banke laho me tu hi tu behta to hai Meri saanso me rehne wale mujhko ye bata Dil ko dil se kaise karte hain haan juda Thehar sa gaya hai beeta wo kal Wo sadiyon ke jaise mohabbat ke pal Wo mausam tu jo badla nahi Wo dard mere sehna Wo khamoshi ko padh lena Wo dil ki zubaan kehna Kehna kehna.. haan... Mujhe yaad hai, mujhe yaad hai Mujhe yaad hai wo chahat ke pal Mujhe yaad hai mujhe yaad hai Mujhe yaad hai har beeta woh kal Kaha suna bhoole nahi, bas bekhabar ho gaye Thodi raza thoda gunah, aur bekadar ho gaye Hai dil pareshan maana nahi Judaai ki rasmon ko jaana nahi Woh meri khushi mein khush hokar Gale se lagana tera Tu dur raha ya paas raha Par sath nibhana tera Mujhe yaad hai, mujhe yaad hai Mujhe yaad hai wo chahat ke pal Mujhe yaad hai, mujhe yaad hai Mujhe yaad hai har beeta wo kal Bin tere jee lenge Phir jhootha ye fitoor le chale Teri khushi ke hai waaste Tujhse door ho chale Jo humko mili hai Woh gham ki saughaatein Iss tanha safar ki Sab sehra sab raatein
Song details
- Singer: Yasser Desai
- Composer: Bharat-Hitarth
- Lyricist: Kunwar Naveen Singh
Song video
director: Shailendra Tiwari, Anushikha Tripathi
cast: Kunwar Naveen Singh, Shalini Chauhan
director of photography: Tanul Dilwali
music label: Zee Music Company