Roman script
Hasratein dil ki betaab hai Doobne ko aaghosh mein Ishq mein tere hai jo sukoon Mumkin nahin hai firdos mein Main samjhun tere samajh tu mere Mere dil ke jazbaat Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat, saari raat Saari raat, saari raat… Zulf teri odh loon main Khudko tujhse jod loon main Zulf teri odh loon main Khudko tujhse jod loon main Lamhaon se khil gaya hai Mujh mein tu aise mill gaya hai Ho gaya hai ye aalam khushnuma Jo paaya tumhe toh badle mere Mere dil ke halaat… Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat Tere ishq ki barish mein Bheegne de saari raat, saari raat Meherbaan hui hai kismat mujhpe Bin duaa ke tu jo milaa hmm Ye jo chal raha hai darmiyan ishq ka Thame na kabhi ye silsila Haan zindagi mein tu jo aaya Ab na dhoondhta hoon main saaya Tu meri hai zameen tu aasmaan Aa kar le abhi Jo ab tak na ki Nighaahon se woh baat Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat Bezubaan dhadkane bhi bolne lagi aaj raat Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat Tere ishq ki baarish mein Bheegne de saari raat, saari raat Oho…
Song details
- Singer: Ankit Tiwari
- Singer: Shivangi Bhayana
- Composer: Rishabh Srivastava
- Lyricist: Laado Suwalka
Song video
singer: Ankit Tiwari, Shivangi Bhayana
director: Gaurav Jang
music label: Zee Music Company