Lyrics

(Kaha the aap zamane ke baad aaye hai - 2  
Mere shabaab ke jaane ke baad aaye hai) - 2  
Kaha the aap zamane ke baad aaye hai  
  
Mere hujur bataon meri khata kya hai - 2  
Bhari bahaar ke jaane ke baad aaye hai  
Mere shabaab se jaane ke baad aaye hai  
Kaha the aap zamane ke baad aaye hai  
  
Girna tha to palakse hamen gira dete - 2  
Nazar se hamko giraane ke baad aaye hai  
Mere shabaab se jaane ke baad aaye hai  
Kaha the aap zamane ke baad aaye hai  
  
O jinke pyar mein sadiya gujaar di hamne - 2  
Har ek khwaab jalne ke baad aaye hai  
Mere shabaab se jaane ke baad aaye hai  
Kaha the aap zamane ke baad aaye hai - 2  
Kaha the aap

Song details

Artist: Lata Mangeshkar