Lyrics

Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa - 2  
Bewafa laut bhi aa - 2  
Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa  
  
Dil mein phir huuk utthi dil ka phir khoon hua  
Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa  
Maine ek khwaab sa dekha tha jo poora na hua  
Mujhko duniya se shikayat hain na kismat se gila  
Aasra deke mohabbat ne mujhe luut liya - 2  
Bewafa laut bhi aa  
Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa  
  
Haai kya jal gaya seene se jo uthta hain dhuan  
Darr hain iss aag mein jal jaaye na ulfat ka nasha  
Roothne wale mohabbat ko musibat na bana - 2  
Bewafa laut bhi aa  
Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa  
Dil mein phir huuk utthi dil ka phir khoon hua - 2  
Dil ne phir yaad kiya bewafa laut bhi aa  
Bewafa laut bhi aa

Song details

Artist: Lata Mangeshkar