Lyrics

Bansi ki dhun sun tere liye chun chun  
Laayi hoon main bagiya se gori gori kaliyaan  
Nikali hoon chup chup, ghar se main luk chup  
Aayi hoon sajaane balam teri galiyaan  
  
Bhole sajan tere dil ki jalan  
Main to jaan gayi, jaan gayi, jaan gayi re  
Teri nazar kise dhoondhe idhar  
Main to jaan gayi, jaan gayi, jaan gayi re  
Teri meethi nazar pehchaan gayi re  
Duniya se bach bach  
Kehati hoon sach sach  
Aayi hoon...  
  
Baanki palak yeh saloni jhalak  
Mohe maar gayi, maar gayi, maar gayi re  
Tere kasam yah sooratiya balam mohe  
Mohe maar gayi, maar gayi, maar gayi re  
Main to baithe bithaaye jiya haar gayi re  
Dil mera pal pal  
Kehata tha chal chal  
Aayi hoon...

Song details

Artist: Lata Mangeshkar