Roman script

jindagi pyaar ka geet hai ise har dil ko gana padega 

jindagi gam ka sagar bhi hai hans ke us paar jana padega 

jindagi ek ahsas hai tute dil ki koi aas hai 

jindagi ek banvas hai kaat kar sabako jana padega 

jindagi pyaar ka geet hai ise har dil ko gana padega 

jindagi bewfa hai to kya apne ruthe hai hamse to kya 

hanth mein hanth na ho to kya 

sath phir bhi nibhana padega

jindagi pyaar ka geet hai ise har dil ko gana padega 

jindagi ek muskan hai dard ki koi phchan hai 

jindagi ek mahman hai chhod sansar jana padega 

jindagi pyaar ka geet hai ise har dil ko gana padega 

jindagi gam ka sagar bhi hai hans ke us paar jana padega

Explore this song