Roman script

ek din mohabbat odh kar ek din gali ke mod par

teri hatheli par likhun mera naam tere naam par

phir tu taqalluf chhod kar phir tu jhuka kar ke nazar

rakhna mere kaandhe pe sar zindagi…

kuch to bata zindagi apna pataa zindagi..

kuch toh bataa zindagi apna pataa zindagi..

taaron bhari ek raat mein

tere khat padhenge saath mein

kora jo panna reh gaya

ek kaanpte se haath mein

thodi shiqaayat karna tu

thodi shiqayat main karun

naraaz bas na hona tu zindagi…

kuch to bata zindagi apna pataa zindagi..

kuch toh bataa zindagi apna pataa zindagi..

tu hai to main hoon tu hai to main hoon

tu hai to main hoon tu hai to khuda

tu hai to rab tu hai toh falak

tu hai toh zameen 

wahin main hoon, jahaan tum ho

jahaan dekhun wahaan tum ho

mohabbat ki zubaan tum ho

mere dil ki duaa tum ho

labon pe haan wafaa tum ho

nazaara tum fiza tum ho

tasalli ka samaa tum ho

sukoon dil ka shifa tum ho

oho..

Explore this song