Roman script

zindagi ki talaash me ham 

maut ke kitne paas aa gaye

jab ye sochaa to ghabraa gaye

aa gaye ham kahaan aa gaye 

zindagi ki talaash me ham 

maut ke kitne paas aa gaye

jab ye sochaa to ghabaraa gaye 

aa gaye ham kahaan aa gaye 

ham the aise safar pe chale jiaki koi bhi mazil nahi

hamne saari umar jo kiya uskaa koi bhi haasil nahi

usaka koi bhi haasil nahi

ek khushi ki talaash me the 

kitne gam hamko tadpaa gaye

jab ye sochaa to ghabaraa gaye 

aa gaye ham kahaan aa gaye 

socho ham kitne majbur the 

jo na karna thaa vo kar gaye

pichhe mud ke jo dekha zara apne haalaat se dar gaye

apane haalaat se dar gaye

khud ke baare me soche jo 

ham apne aap se sharma gaye

jab ye sochaa to ghabaraa gaye 

aa gaye ham kahaan aa gaye 

zindagi ki talaash me ham maut ke kitne paas aa gaye

Explore this song