Roman script

zindagi kah rahi hai pyar kar, dil tera jo kahe yar kar

zindagi kah rahi hai pyar kar, dil tera jo kahe yar kar

ched nagma waqt ke har saaz par

khwabo ki awaz par, kadmo ki parwaj par

khwabo ki awaz par, kadmo ki parwaj par, bekhud andaz par

zindagi kah rahi hai pyar kar

rang birange jhilmilate raste

chal pado ke hai tumhare waste

muskilo se dil jara ghabraye to

kuch bahkane ka salika aaye to

haath malti hi rahe tanhayiya

is tarah roshan kare parchayiya

koshis na ho baat bhar, chahat na ho sath bhar

koshis na ho baat bhar, chahat na ho sath bhar

halchal rahe raat bhar

hath pe jab hath rakh de hamsafar

ye jamee lagti hai kitni mukhatsar

jaise muthi me sitare aa gaye

jaise daman me najare aa gaye

bhar andhero ne sararat ki kahi

jal pade hai jugnuo se hai ham wahi

masti kare is kadar ham ho jaye beasar

masti kare is kadar ham ho jaye beasar

ruk jaaye shamo sahar

Explore this song