Roman script

zindagi jab bhi teri bazm me laati hai hame 

ye zami chaand se behatar nazar aati hai hame

surkh phulo se mahak uthati hai dil ki rahe

din dhale yun teri avaz bulati hai hame 
din dhale yun teri avaz bulati hai hame 
ye zami chaand se behatar nazar aati hai hame 
yad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se 

raat ke pichhale pahar roz jagaati hai hame 
raat ke pichhale pahar roz jagaati hai hame 
ye zami chaand se behatar nazar aati hai hame
har mulaqat ka ajaam judai kyun hai 
har mulaqat ka ajaam judai kyun hai 
ab to har vaqt yahi baat satati hai hame
ab to har vaqt yahi baat satati hai hame
ye zami chaand se behatar nazar aati hai hame
zindagi jab bhi teri bazm me laati hai hame

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Rekha, Farooq Sheikh