Roman script

zindgani ka maja shadi me hai

zindgani ka maja shadi me hai

naujawani ka maja shadi me hai

naujawani ka maja shadi me hai

zindgani ka maja shadi me hai

chahe jis country ka rahne wala wo insan ho

rus ho england ho amerika ho japan ho

dharm sabka hai juda, par god sabka ek hai

dhang shadi ka juda

par sabka matlab ek hai

sabka matlab ek hai, kya

zindgani ka maja shadi me hai

naujawani ka maja shadi me hai

zindgani ka maja shadi me hai

america, england

jaha par wife aur husband

dono liye hand me hand

jhin jhin jhinak baje band

baje band, baje band

padri liye bibal hath

aaya un dono ke pass

aaya un dono ke pass

badli gayi ring se ring

ding ding ding dong ding

aakhiri custom bhi marriage ka hua sabse bada

dekh kar aakhir mujhe majbur ho kahna pada

majbur ho kahna pada

o majbur ho kahna pada, kya

zindgani ka maja shadi me hai

naujawani ka maja shadi me hai

zindgani ka maja shadi me hai

africa ke jungle wale koyla jaise kale kale

kale kale

liye hath me lambe bhale

lambe bhale lambe bhale lambe bhale

aaye ladki ladke wale, ladki ladke wale

pandit ji ne dulhan ji ke sar pe rakha hath

wo bhagi jhadi ke pass

pandit ji ne dulha ji ke sar pe rakha hath

wo bhi gaye usi ke pass

jungle me mangal hua baje dhama dham dhol

dholak ki aawaz me bhi nikle yahi bol 

sahab nikle yahi bol

o nikle yahi bol, kya

zindgani ka maja shadi me hai

naujawani ka maja shadi me hai

zindgani ka maja shadi me hai

Explore this song