Roman script

aankhon ke paani mei sapne toh nahi doobte

aandhi mein tufaan mei taare toh nahi toot’te

dil pe jo kharashein hai tujhko ye tarashein hai

koi toh kahani hai jo waqt ko sunani hai

zinda hoon abhi baaki hoon abhi dekho iss raakh mei

thodi si roshni hai abhi zinda hoon abhi

baaki hoon abhi meri har saans mei thodi si zindagi hai abhi

ziddi raaston se paanv yeh aaj bhi jhagadna toh bhule nahi

haare hai kayi dafa toh kya aaj bhi hum ladna toh bhule nahi 

aaj bhi dil baaghi hai bas yehi kaafi hai

zinda hoon abhi baaki hoon abhi

dekho iss raakh mei thodi si roshni hai abhi

zinda hoon abhi baaki hoon abhi

meri har saans mei thodi si zindagi hai abhi

zinda hoon abhi

Explore this song