Roman script

kali ke jigar ke hue pahle tukde

to fir pyar karne ka pal bhi aaya

tadap jab chuki mauj tufan me to

gale se lagane ko sahil bhi aaya

suna kaish ka hal dunia ne lekin

jo laila pe gujri use kon soche

ke damdar katil hame kahne wala

na hoti mohabbat agar hum na hote

dunia me wafa hoti bahut badnam

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

jinda hai jinda jinda hai jinda

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

wafa ka nam wafa ka nam nam

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

sune wo log jo aaho pe aahe bharte hai

jinhe hai ishk wo fariyad nahi karte hai

chalak aate hai nigaho me jo tukde dil ke

ro lete hai andhero se gale mil mil ke

diwano tumko to diwana na banna aaya

jalne ka shok hai parwana na banna aaya

shama kahte hamko kabhi socha dil ne

jale  hai hum to hua hai ujala mahfil me

oro ke liye jalna hamara kam

oro ke liye oro ke liye

oro ke liye jalna hamara kam

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

ho jara sunna jara sunna are mahfil walo

na dekhoge kabhi aisa tamasha dil walo

ke rashta bhul ke purab se range sham aaya

jafa daro ke hotho par jafa ka nam aaya

ab aise jala dalo are julfo walo

hame nadan na samjho are bhole bhalo

tumhare jalwo ko aankho me na basna aaya

tumhe to shisha e dil tod ke hasna aaya

hamesha jahar jo de wo uthake jam aaye

tumhare jhuthe labo par wafa ka nam aaye

tauba ji tauba lijiye khuda ka nam

dekho ji dekho tum to na do ilzam

na do ilzam na do ilzam

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

hamesha aapko aata hai badh ke ruk jana

kisi ko lut ke parde me jake chup jana

hamesha aag udayi hai tumne raho me

hamara nam hai ruswa tumhari aaho me

yaha to aah ki tumse aah bhi na hui

hamare dard me fir bhi kami na hui

mohabbat thokre khati hai mahzabino me 

mohabbat or hasi ho gayi hasino me 

tauba ji tauba lijiye khuda ka nam

dekho ji dekho tum to na do ilzam

na do ilzam na do ilzam

jinda hai jinda hamse wafa ka nam

Explore this song