Roman script

lafz kitne hi tere pairo se lipte honge

tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga

tune jab phool, kitabon se nikaale honge

dene waala bhi tujhe yaad to aaya hoga

teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha

mohabbat bhi zaruri thi, bichhadna bhi zaruri tha

zaruri tha ki hum dono tawaaf-e-aarzu karte

magar phir aarzuo ka bikharna bhi zaruri tha

teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha

bataao yaad hai tumko

wo jab dil ko churaya tha

churaai cheez ko tumne

khuda ka ghar banaya tha

wo jab kehte the mera naam 

tum tasbih mein padte ho

mohabbat ki namaazo ko

kada karne se darte ho

magar ab yaad aata hai

wo baatein thi mahaz baatein

kahin baaton hi baaton mein

mukarna bhi zaruri tha

teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaruri tha

wahi hai surate apni

wahi main hu, wahi tum ho

magar khoya hua hu main

magar tum bhi kahin gum ho

mohabbat mein daga ki thi

so kaafir the so kaafir hain

mili hain manzile phir bhi

musaafir the, musaafir hain

tere dil ke nikaale hum

kahan bhatke, kahan pahunche

magar bhatke to yaad aaya

bhatakna bhi zaruri tha

mohabbat bhi zaruri thi, bichhadna bhi zaruri tha

zaruri tha ki hum dono tawaaf-e-aarzu karte

magar phir aarzuo ka bikharna bhi zaruri tha

teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha

Explore this song