Roman script

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

hume bhi apna diwana 

bana do ya rasul allah

mohabbat gair se meri 

chuda do ya rasul allah

meri soi hui kismat 

jaga do ya rasul allah

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

badi kismat humari hai ki 

ummat me tumhari hai

bharosa deen o duniya me 

bharosa deen o duniya me

tumhara ya rasul allah

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

andheri kandh me mujhko 

akela chhod jayenge

waha ho fazal se tere 

waha ho fazal se tere

ujala ya rasul allah

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

khuda mujhko madine se

jo pahunchaye to behtar hai 

ki roje par hi de du jaan 

ki roje par hi de du jaan 

jaan par ya rasul allah 

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

hume bhi apna diwana 

bana do ya rasul allah

zara chehare se kamli ko 

hata do ya rasul allah

Explore this song