Roman script

zamana jo aankhe dikhata hai tujhko

zamane ko aankhe dikhaye chala chal

isi me teri shan hai ae musaafir 

kadam apna aage badhaye chala chal

chala chal musafir, kinare kinare

kinare kinare 

prabhu ke bharose

prabhu ke bharose, prabhu ke sahare

kinare kinare, kinare kinare

abhi se na chhod apna tu dil musafir

abhi dur hai teri manzil musafir

usi ki hai manzil jo

usi ki hai manzil jo, himmat na haare

kinare kinare, kinare kinare

chala chal musafir kinare kinare

tera kaam chalna hai rukna nahi hai

jhukana hai duniya ko jhukna nahi hai

zamane jhuke sar ko

zamane jhuke sar ko, thokar na maare

kinare kinare, kinare kinare

hua hai kisi ka na hoga zamana

tere hath hai apni bigdi banana

na chhod apni kashti

na chhod apni kashti, kisi ke sahare

kinare kinare

Explore this song