Roman script

zakhm jo aap ki inaayat hai

zakhm jo aap ki inaayat hai

is nishani ko naam kya de hum

pyaar deewar banke reh gaya hai

is kahani ko naam kya de hum

aap ilzaam dhar gaye hum par

ek ehsaan kar gaye hum par

aap ilzaam dhar gaye hum par

ek ehsaan kar gaye hum par

aapki ye bhi meherbaani hai

meherbaani ko naam kyaa de hum

pyaar deewar banke reh gaya hai

is kahani ko naam kya de hum

aapko yun bhi zindagi samjha

dhoop ko humne chandani samjha

aapko yun bhi zindagi samjha

dhoop ko humne chandani samjha

bhul hi bhul jiski aadat hai

is jawaani ko naam kya de hum

pyaar deewar banke reh gaya hai

is kahani ko naam kya de hum

raat sapna bahaar ka dekha

din huaa to gubaar sa dekha

raat sapna bahaar ka dekha

din huaa to gubaar sa dekha

bewafa waqt bejubaan nikla

bejubaani ko naam kya de hum

pyaar deewar banke reh gaya hai

is kahani ko naam kya de hum

Explore this song