Roman script

hai duaa kismat rahe tujh par hamesha mahaban

bewfa kismat ho to uth jay sar se aasman 

ye kismat hai kya jante hai wahi jamane me hai

jinki kismat buri

ye kismat hai kya kisne dekha yaha apni kismat 

banata hai khud aadmi 

jitne unche ho insaan ke housle 

utne unche utne unche mahal uske kadmo tale

jinki mehant ke dam se mahal hai khade 

unko rahne ko milte hai kyo jhopde 

unki mehnat mai ye akl shamil na thi

apni kismat banata hai khud aadmi 

ye kismat hai kya jante hai wahi jamane me hai

jinki kismat buri

laakh mehnat se sinche koi gulsita baag me gul 

khila na sake baagba

uski mehnat men hogi kahi kuchh kami warna 

kya hai jo kar na sake aadmi 

aadmi khud ko insaa bana na saka apni kismat 

baanayega kya aadmi 

ye kismat hai kya jante hai wahi jamane me hai

jinki kismat buri

aaj ka aadmi chand ko chu saka fir bhi dharti 

ko khushhal na kar saka

yaha mehnat se sholo pe bhi gul khile buri 

kismat se barsaat me ghar jale 

ye takraar sadiyo se yu hi chali magar ho sake na 

kabhi faisle ye sach hai ki mehnat se sab kuch mile

magar jab ye kismat yaha saath de na mehnat hai 

choti na kismat badi hai dono ke dam pe ye duniya

khadi 

ye kismat hai kya jante hai wahi jamane me hai

jinki kismat buri

ye kismat hai kya kisne dekha yaha apni kismat 

banata hai khud aadmi

Explore this song