Roman script

yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije

bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije

yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije

bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije

yeh pyar ka jhagda hai 

tanha na kat sakega, yeh raasta safar ka

koyi to ho sahara, sarkar umr bhar ka

tanha na kat sakega, yeh raasta safar ka

koyi to ho sahara, sarkar umr bhar ka

mera nahin to apna, mera nahin to apna

kuchh to khayal kije

yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije

bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije

yeh pyar ka jhagda hai

tevar bhi juda dekhe, andaz naya paya

palkon ke taley maine, har raaz naya paya

tevar bhi juda dekhe, andaz naya paya

palkon ke taley maine, har raaz naya paya

yeh raaz bhala kya hai, yeh raaz bhala kya hai

yeh raaz bata dije

yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije

bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije

yeh pyar ka jhagda hai

Explore this song