Roman script

yeh mera waham tha
yeh mera waham tha
han yeh mera waham tha
ki uspe ikhtyaar hai mera 
yeh mera waham tha
ki uske dil me pyar hai mera 
aaj tak wo mere dil se khelti rahi 
khelte khelte  dil tod diya 
yeh mera waham tha
wo kya jane mujhpar beeti kya 
main to hara par wo jeeti kya 
meri wafa usne thukraai hai 
muskil me wo khud bhi to aai hai 
chhin kar wo khusiya meri 
khush rahe to kya 
maine bhi gam sab iska jod diya 
yeh mera waham tha
ki uspe ikhtyaar hai mera 
har pal asqo ki barsate hain 
kitni muskil gam ki rate hain 
kurba ki thi jispe ye zindgi 
samjhi na wo meri deewangi 
bewafa kahu main usko ya beraham 
ab ye sochna bhi chhod diya

Song details

Song video

Watch on YouTube

lyricist: Faaiz Anwar, Rohit Sharma