Roman script

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

har lamha hai paraya har saas ajnabi hai

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

phulo ki justjuo me kate bhi hath aaye

phulo ki justjuo me kate bhi hath aaye

rone ki koshishe ki to hoth muskuraye

aasu ya muskurahat har chiz ek si hai

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

kabhi din hue andhere kabhi rat jagmagayi

kabhi din hue andhere kabhi rat jagmagayi

kabhi apni na ummidi ummid ban ke aayi

samjhe jise syahi dekha to roshni hai

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

ye jindagi hamari kya khub jindagi hai

Explore this song