Roman script

ye vedo ki hai vaani

santo ke mukh se jaani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

santo ke mukh se jaani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

hai kaam kathin ye naari hai

aur kadam kadam par hai mushkil

jane kitni lambi raahe

aur kitni dur mile manjil

isko to chalte jana hai

himmat se paanv badhana hai

chahe koi mushkil aaye

par apni manjil pana hai

ye maidano ko paar kare

kare paar nadi tufani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

in unche bade pahado se

sankalp bada is nari ka

isse se jyada sahas hoga

in unche bade pahado se

sankalp bada is nari ka

isse se jyada sahas hoga

kya aur kisi sansari ka

girte padte ye pag badhte

kitni baadhao se ladte

paanvo me chhale fut pade

unchayi par chadhte chadhte

lekin badhti hi jati hai

ye ek lagan ki diwani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

ye milo jami safed barf

us par ye tikhi shit lahar

lagta hai bachna mushkil hai

ab aaj yahi jayegi mar

ek paanv uthe ek paanv dhase

khil khil khil khil khil

ye barf hanse

har kadam kadam par lagta hai

sau sau zehrile naag dase

apna kartavy nibhane ko

kaisi deti hai kurbani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

santo ke mukh se jaani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

jitne thoda sa tap baaki

utna hi registan bada

paanvo ko chamdi chhod chali

nas nas se lahu hai tapak pada

aise me kaisi pyas badhi

hontho tak dekho jaan chadhi

aaye hai kaisi ghor ghadi

sankat me ab to aan padi

ye kaun surahi le aaya

aur kaun pilata hai pani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

saasu ke dono paanv chhile

ab bahu rani bhi hai ro di

kuch jungli patte tod liye

aur aanchal se patti baandhi

par phir bhi chalna mushkil hai

ab to har praytan har nisphal hai

dono ki himmat tut chali

ye is tap ka antim pal hai

aise me unt sanwar mila

yu mile devta vardani

jo saasu ki sewa karti

dhnay dhany wo bahu rani

ye vedo ki hai vaani

Explore this song