Roman script

har chehra yaha chaand

har chehra yaha chaand to har zarra sitara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

hasati hain jo kaliya to hasin phul hain khilate

hain log yahaan jaise utar aaye farishte

har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara

har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

har chehra yaha chaand 

ye chotiya barfo ki hain aazadi ka parcham

hansti hai gulami pe ye inasan ki hardam

deti hai ye aakash ko baaho ka sahara

deti hai ye aakash ko baaho ka sahara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

har chehra yaha chaand 

din-raat hava saaj bajati hai suhaane

din-raat hava saaj bajati hai suhaane

nadiyo ke labo par hain mohabbat ke taraane

masti me hai duba hua behosh kinara

masti me hai duba hua behosh kinara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

har chehra yaha chaand 

ye jalwa-e-rangin hai kisi khwab ki taabir

yaa phulo me baithi hui dulhan ki hai tasvir

ya tham gaya chalta huaa pariyo ka shikara

ya tham gaya chalta huaa pariyo ka shikara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

har chehra yaha chaand to har zarra sitara

har chehra yaha chaand to har zarra sitara

ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara, jannat ka nazara

har chehra yaha chaand

Explore this song