Roman script

bhatakte dekhe hai lakho mulla

karodo pandit hazaro siyane

jo khub socha samjh me aya

khuda ki baate khuda hi jaane

aake duniya me basar kaam karna hai jokar

aake duniya me basar kaam karna hai jo kar

saaf niyat hai agar fir na anjaam se dar

jaane padti hai kidhar uski rahmat ki nazar

jaane padti hai kidhar uski rahmat ki nazar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

dekhte dekhte kyu khel bigard jaate hai

dekhte dekhte kyu khel bigard jaate hai

kyu baharo me bhare baag ujad jaate hai

pyar se pala jinhe apna lahu de de kar

usi daali se vo hi phul bichhad jaate hai

kisi jaalim ka base kisi jaalim ka base

lute majlum ka ghar lute majlum ka ghar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

vo jo chahe to bura waqt bhi tal sakta hai

vo jo chahe to bura waqt bhi tal sakta hai

vo hi kismat ki lakiro ko badal sakta hai

jaat par uski bharosa hai to bande ek din

raat ke sine se suraj bhi nikal sakta hai

aadmi ko kya khabar aadmi ko kya khabar

uski manjil hai kidhar aadmi ko kya khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

jaane kis bhesh me kis mod pe wo mil jaaye

jaane kis bhesh me kis mod pe wo mil jaaye

teri ummid ki har ek kali khil jaaye

dil se nikli hui fariyaad me wo taakat hai

wo jo sun le to pahado ka dil bhi hil sakta hai

mangte rahna duaa mangte rahna duaa

hoga kis waqt asar hoga kis waqt asar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

julm ki aag me jalim ko jalaya usne

julm ki aag me jalim ko jalaya usne

ek majbur ka ghar fir se basaya usne

naam leta hua uska jo sawali aaye

uske darbaar se hargiz na wo khali jaaye

uske ghar der sahi uske ghar der sahi 

nahi andher magar jane padti hai kidhar

uski rahmat ki nazar uski rahmat ki nazar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

ye to allah ko khabar ye to maula ko khaba

ye to allah ko khabar ye to maula ko khabar

Explore this song