Roman script

ye pahaad rond daale ke zamin pees daale 

na dabe na dab sakenge kabhi pyaar karne vaale 

kah do 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

aasaan nahi pyaar ke deepak ko bujhaana 

kah do 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

kah do 

aakaash se takraayegi fariyaad kisi ki 

aakaash se takraayegi fariyaad kisi ki 

hil jaayega sansaar 

hil jaayega sansaar zamin kaanp uthegi 

sooraj ko milega na sitaaro ko thikaana 

kah do 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

kah do 

aaho mein vo shole hain ke chhup jaayen hawaaye 

aaho mein vo shole hain ke chhup jaayen hawaaye 

jal jaaye jhulas jaaye sulag jaaye ghataaye 

ud jaayen dhuaan ban ke zamaane ka zamaana 

kah do 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

kah do 

ham sar se kafan baandh ke aaye hai muqaabil 

haatho pe liye jaan to thokar mein liye dil 

haatho pe liye jaan to thokar mein liye dil 

ae maut kisi aur ko marne se daraana 

kah do 

kah do ki mohabbat se na takraaye zamaana 

kah do

Explore this song