Roman script

ye mast hawa ye to batala kis waqt yahan kya baat hui

mai kya janu mai kya samjhu kab din dhuba kab raat hui

ye mast hawa ye to batala

bedard jamane ne dil me ye dard na chhod de ya hota

us jyot bujane wale ne deepak bhi tod diya hota

jina mushkil marna muskil vo ghaat humare sath hai

ye mast hawa ye to batala

malum nahi kab ruth badali kab phul khile kab murjaye

sine me jab jab aag lage maine samja badal chaye

aankho se aansu barse to maine jana barsat hui

ye mast hawa ye to batala kis waqt yahan kya baat hui

mai kya janu mai kya samjhu kab din dhuba kab raat hui

ye mast hawa ye to batala

mai kya janu mai kya samjhu kab din dhuba kab raat hui

Explore this song