Roman script

ye mard bade dil sard bade bedard na dhokha khaana

mithi mithi batiyo me bhool ke na aana

hote hain chhote dil ke lambi zubaan vaale

dete hain maal khota unchi dukaan vaale

chhota munh aur baat badi ye hai dastoor puraana

mithi mithi batiyo me bhool ke na aana

ye mard bade dil sard bade bedard na dhokha khaana

mithi mithi batiyo me bhool ke na aana

baat pate ki hai ye maano jo mera kahana

achchha hai aag se to door hi door rahana

jhoothi inki jaat badi ye hai dastur puraana

mithi-mithi batiyo me bhool ke na aana

ye mard bade dil sard bade bedard na dhokha khaana

mithi mithi batiyo me bhool ke na aana

ye mard bade dil sard bade bedard na dhokha khaana

mithi mithi batiyo me bhool ke na aana

Explore this song