Roman script

ye mahalo, ye takto, ye tajo ki duniya

ye inasa ke dushman samajo ki duniya 

ye mahalo, ye takto, ye tajo ki duniya

ye inasa ke dushman samaajo ki duniya

ye daulat ke bhukhe rivaazo ki duniya

ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai 

ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai

har ek jism ghaayal, har ek ruh pyaasi

nigaaho me ulajhan, dilo mein udaasi

ye duniya hai yaa aalam-e-badahavaasi

ye duniya agar mil bhi jaye to lya hai  

jahaa ek khilaunaa hai inasaa ki hasti

ye basti hai murdaa-parasto ki basti

jahaa aur jivan se hai maut sasti

ye duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

jawani bhatkati hai bejaar banakar 

jawa jism sajte hai bajar banakar

jaha pyar hota hai vyapar banakar

ye duniya agar mil bhi jaye to lya hai  

ye duniya jaha aadami kuch nahi hai 

wafa kuch nahi, dosti kuch nahi hai

ye duniya jaha aadami kuch nahi hai 

wafa kuch nahi, dosti kuch nahi hai

jaha pyar ki kadar hi kuch nahi hai 

ye duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

jala do, jala do ise funk dalo ye duniya

mere samne se hata lo ye duniya

tumhi hai tum hi sambhalo ye duniya, ye duniya

Explore this song