Roman script

ye kuche, ye ha aaa, ghar dilkashi ke

ye kuche, ye nilaam ghar dilkashi ke

ye lutate hue kaaravaa zindagi ke

kaha hai, kaha hai muhafiz khudi ke

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

ye purpech galiya, ye badnaam bazaar

ye gumnaam raahi, ye sikko ki jhankaar

ye issmat ke saude, ye saudo pe takraar

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

ye sadiyo se bekhauf sahami si galiya

ye masali hui adhkhili zard kaliya

ye bikati hui khokhali rangraliya

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

vo ujle daricho me payal ki chhan chhan

thaki haari saanso pe table ki dhan dhan

vo ujle daricho me payal ki chhan chhan

thaki haari saanso pe table ki dhan dhan

ye beruh kamro me khaasi ki than than

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

ye phulo ke gajare, ye piko ke chhite

ye bebaak nazre, ye gustaakh fiqre

ye dhalke badan aur ye bimaar chehre

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

yaha pir bhi aa chuke hai, java bhi

tan-o-mand bete bhi, abbaa miya bhi

ye bivi bhi hai, ye bivi bhi hai, 

aur bahan bhi, aur maa bhi

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

madad chahati hai ye havaa ki beti

yashodaa ki ham_jins radha ki beti

madad chahati hai ye havaa ki beti

yashodaa ki ham_jins radha ki beti

payambar ki ummat zulekhaa ki beti

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

zara mulk ke rahbaro ko bulaao

ye kuche ye galiya ye manzar dikhaao

jinhe naaz hai hind par unko laao

jinhe naaz hai hind par vo kaha hai

kaha hai, kaha hai, kaha hai

Explore this song