Roman script

ye kaun chalaa, ye kaun chala, ye kaun chala haaye ye kaun chala 
meri aankhon mein sama kar, meri rag-rag mein sama kar 
ye kaun chala 
dil toot raha hai mera ji chhoot raha hai 

aise na jaaye koi majaboor bana kar 
aise na jaaye koi majaboor bana kar 
meri aankhon mein sama kar, meri rag-rag mein sama kar 
ye kaun chala 
ye kaun chala, haaye ye kaun chala 
jaag ai gam-e-furaqat luti jaati hai musarat 
luti jaati hai musarat 
jaag ai gam-e-furaqat luti jaati hai musarat 
soi hui maasoom tamanna ko jaga kar 
soi hui maasoom tamanna ko jaga kar
meri aankhon mein sama kar, meri rag-rag mein sama kar 
ye kaun chala 
ye kaun chala, haaye ye kaun chala 
jaane ye havaayen yahaan kab laut ke aayen 
yahaan kab laut ke aayen 
jaane ye havaayen yahaan kab laut ke aayen
chaal den meri kashati ko toofaan me phansa kar 
chaal den meri kashati ko toofaan me phansa kar 
meri aankhon mein sama kar, meri rag-rag mein sama kar 
ye kaun chala 
ye kaun chala, haaye ye kaun chala

Song details

Song video

Watch on YouTube