Roman script

ye kali jab talak phool ban ke khile

intazaar intazaar intazaar karo intazaar karo

ye kali jab talak phool ban ke khile

intazaar intazaar intazaar karo intazaar karo

intazaar woh bhala kya kare tum jise 

beqaraar beqaraar beqaraar karo intazaar karo  

pyaar mein pyaar ki bhi ijaazat nahin 

pyaar mein pyaar ki bhi ijaazat nahin

berukhi hai aji ye mohabbat nahin  

aa raha hai maza tum shikaayat yahi 

baar baar baar baar baar baar karo intazaar karo 

intazaar woh bhala kya kare tum jise 

beqaraar beqaraar beqaraar karo beqaraar karo 

husn pe to asar hone waala nahin 

husn pe to asar hone waala nahin

ishq tum ko na kar de diwaana kahin  

hai ye diwaangi bhi qubool tum agar 

hamse pyaar hamse pyaar hamse pyaar karo  

ye kali jab talak phool ban ke khile

intazaar intazaar intazaar karo intazaar karo 

roz hamne baiyaan ye fasaana kiya 

roz hamne baiyaan ye fasaana kiya

roz tumne naya ek bahaana kiya  

ye bahaana magar aakhri hai sanam 

aitbaar aitbaar aitbaar karo intazaar karo  

intazaar woh bhala kya kare tum jise 

beqaraar beqaraar beqaraar karo beqaraar karo 

intazaar intazaar intazaar karo intazaar karo 

hamse pyaar hamse pyaar hamse pyaar karo intazaar karo

Explore this song