Roman script

ye jo zindagi ki kitaab hai 

ye jo zindagi ki kitaab hai, ye kitaab bhi kyaa kitaab hai 

kahi ik hasin sa khvaab hai, kahi jaanlevaa azaab hai 

kahi chanv hai kahi dhup hai, kahi aur hi koi rup hai 

kai chehare isme chhupe huye

kai chehare isme chhupe huye, ik ajib si ye naqaab hai 

kahi ik hasin sa khvaab hai, kahi jaanlevaa azaab hai 

ye jo zindagi ki kitaab hai, ye kitaab bhi kyaa kitaab hai 

kahi kho diya kahi pa liya, kahi ro liya kahi ga liya

kahi chhin leti hai har khushi 

kahi chhin leti hai har khushi, kahi meharaban behisab hai 

kahi ik hasin sa khvaab hai, kahi jaanlevaa azaab hai 

ye jo zindagi ki kitaab hai, ye kitaab bhi kyaa kitaab hai 

kahi aansuo ki hai dasta kahi muskurahato ka baya

kahi barqato ki hai barishe 

kahi barqato ki hai barishe, kahi tishnagi behisab hai

kahi ik hasin sa khvaab hai, kahi jaanlevaa azaab hai 

ye jo zindagi ki kitaab hai

ye jo zindagi ki kitaab hai, ye kitaab bhi kyaa kitaab hai

Explore this song