Roman script

ye hai tirtho ki kahani jug jug hai purani

mahima jaye na bakhani sare devo ka yahi vishram hai

jaha baithe gyani dhani jaha santo ki bani

samjhe dunia tufani inka darshan hi mukti ka dham hai

sare devo ka yahi vishram hai

ye hai chitarkut teeno devo ka jaha avtar hua

nal or dharam raj ka sab kesho se jaha udhhar hua

ye mathura hai jaha karishan ne dusto ka sanhar kiya

ras racha ke vrindawan me radha ka sringar kiya

tirth raz ye paryag jaha bhakti ka rag

kahe manav se jag teeno nadiyo ke sangam ka dham hai

sare devo ka yahi vishram hai

shiv tirshul pe varanashi ye basi hai iski chavi nyari

kashi ke vasi avinashi vishwanath ki hai pyari

charan sparsh kar chali janvi ganga ji ki balihari

harish chandar ne yahi satya ke liye bech di niz nari

vishnath mandir jhalke darshan ko aate sab chalke

jyoti swaran kalas ki chalke ganga dhar girja pati ko parnam hai

sare devo ka yahi vishram hai

kurukshetar me hi muniyo ne pahla mantar sunaya tha

yahi parth ko parbhu ne geeta karam yog batlaya tha

hari dwar hai dwar hari ka hari ne ise bataya tha

sankat mochan ghat virat ye mukti ke liye banaya tha

har ke tedhi har ki chaw jaha pade hari ke paw

or na koi aisa gaw marityu lok ka ye antim viram hai

sare devo ka yahi vishram hai

ye rishi kesh yaha par sare dwesh kalesh avshesh hue

jab tap punay bhakti shakti se parshan shri kamlesh hue

kalindi kalind nandani karishan piya kare kal kal

hari pag poojan ko kal se yamuna chal di dhal dhal

joshi math hai mahan rudar kiya yash dan

bada dono ka ashtan inka lawanay lalit lalam hai

sare devo ka yahi vishram hai

Explore this song