Roman script

ye duniya wo duniya hai jaha 

insan ki kimat kuch bhi nahi

majbur ki chahat kuch bhi nahi

muflish ki sharafat kuch bhi nahi

bas jhut hai aur makari hai, bas jhut hai

bas jhut hai aur makari hai 

sachayi sadakat kuch bhi nahi

ji chahata hai is duniya ko

ji chahata hai is duniya ko

mai hanste hanste thukra du

ji chahata hai ji chahata hai

is duniya ko hanste hanste 

ye aisa gulshan hai jisme 

kaliyo ki chitaye jalti hai

shabnam ke shishkate hai aansu

bulbul ki sadaye jalti hai

rota hai pyar baharo ka, rota hai

rota hai pyar baharo ka

phulo ki wafaye jalti hai 

is gulshan me sab jalte hai

bachne ki surat kuch bhi nahi

ji chahata hai ji chahata hai

is duniya ko mai hanste hanste thukra du 

ji chahata hai ji chahata hai

is duniya ko hanste hanste 

har dharam yaha ka paisa hai, iman yaha ka paisa hai 

insaan yaha ka paisa hai, bhagwan yaha ka paisa hai

geeta bhi yaha ki paisa hai, gita 

geeta bhi yaha ki paisa hai, kuran yaha ka paisa hai

duniya ki hakikat paisa hai, paise ki hakikat kuch bhi nahi

ji chahata hai ji chahata hai

is duniya ko mai hanste hanste thukra du 

ji chahata hai ji chahata hai

is duniya ko hanste hanste

Explore this song