Roman script

ye duniya hai usi ki jo use jhukata hai

jamana bhi usi ke nam ko dohrata hai

koi nadan jab tufan se takrata hai

wo dusman aap apni jan ka ban jata hai

jo takat war ke aage sar nahi jhukata hai

wo hai ek diwana use kya samjhana 

wo hai ek diwana use kya samjhana 

ye duniya ye duniya 

ye duniya hai usiki shan jiski nyari hai

usi ka nam leti kaynat sari hai

wahi ek aisi takat hai jo sabpe bhari hai

kisi ne ki mitane ki hame tyari hai

to uska sar jhukane ki hamari bari hai

jara dil thamna hua hai samna

jara dil thamna hua hai samna

hamesha jo bhi takat ke nashe me chur hota hai

hazaro pe sitam karke hi wo mashur hota hai

shamaya jiske sine me khuda ka nur hota hai

kisi takat ke aage wo nahi majbur hota hai

khuda ko bhul kar insan ko magrur hota hai

magar hona wahi hai jo use manjur hota hai

ye duniya ye duniya hai usiki shan jiski nyari hai

usi ka nam leti kaynat sari hai

khadi ho maut jab sar pe to allah yad aata hai

jise marna hai wo allah ko pyara ho jata hai

hamara samna karne ki jo himmat dikhata hai

wo is dunia se jata hai 

hamare khof se sara jamana thar thararta hai

hamare hath me aa kar koi na bach ke jata hai

ye dunia hai usi ki jo use jhukata hai

jamana bhi usi ke nam ko dohrata hai

koi nadan jab tufan se takrata hai

wo dusman aap apni jan ka ban jata hai

jo takat war ke aage sar nahi jhukata hai

wo hai ek diwana use kya samjhana 

wo hai ek diwana use kya samjhana 

maut ki dhamki jo deta wo khud marne se darta hai

aag se khelne wala aag me jal ke marta hai

tere mathe pe to bujdil jhalak aaya pasina hai

tujhe malum kya  tujhko jara si der jina hai

kise malum kiski maut kiske hath honi hai

teri kismat me jo likhi hai wahi bat honi hai

faisla karna hai  to aa jara maidan me aaja

karega samna mera bada hai hausla tera

abhi tak  har kadam me tune mujhse mat khai hai

aaj maine sare mahfil maine teri gardan jhukayi hai

ye dunia ye dunia ye dunia hai usiki shan jiski nyari hai

usi ka nam leti kaynad sari hai

wahi ek aisi takat hai jo sabpe bhari hai

kisi ne ki mitane ki hame tyari hai

to uska sar jhukane ki hamari bari hai

jara dil thamna hua hai samna

jara dil thamna hua hai samna

Explore this song