Roman script

ye dil nahi hai ki jiske sahaare jite hai

lahu ka jaam hai jo subah-o-shaam pite hai

ye dil nahi hai

chhupaaya laakh magar ishq hai nahi chupta

yun ashq aankh me aaya huwa nahi rukta

ki aag lagti hai

ki aag lagti hai jab aansuo ko pite hai

lahu ka jaam hai jo subah-o-shaam pite hai

ye dil nahi hai

tadap-tadap ke nikalenge dil ke arman ham

karenge ranj se paida kushi ke sama ham

ki gamo ki nok se

ki gamo ki nok se dil ke zakhm site hai

lahu ka jaam hai jo subah-o-shaam pite hai

ye dil nahi hai

kabhi karaar na aayega humko jine se

kabhi karaar na aayega humko jine se

ilaaj zeher ka hota hai zeher pine se

ki sar pe maut ka

ki sar pe maut ka saaya hai phir bhi jite hai

lahu ka jaam hai jo subah-o-shaam pite hai

ye dil nahi hai ki jiske sahaare jite hai

ye dil nahi hai ki jiske sahaare jite hai

Explore this song