Roman script

ye daulat bhi lelo ye shoharat bhi lelo 

bhale chhen lo mujhse meri jawani 

ye daulat bhi lelo ye shoharat bhi lelo 

bhale chhen lo mujhse meri jawani 

magar mujhko lota do bachpan ka sawan 

wo kagaz ki kasti wo barish ka pani 

wo kagaz ki kasti wo barish ka pani 

mahule ki sabse purani nishani 

wo budhya jise bacche kahete the nani 

mahule ki sabse purani nishani 

wo budhya jise bacche kahete the nani

wo nani ki baato me pariyo ka dera 

wo chehre ki jhuriyo ka sadiyo ka fehra 

bhulaye nahi bhul sakta hai koi 

bhulaye nahi bhul sakta hai koi 

wo choti si raat wo lambi kahani

wo choti si raat wo lambi kahani

kadi dhup me apne ghar se nikalna 

wo chidiya wo bulbul titli pakadna 

wo gudiya ki shadi me ladna jhagdna 

wo jhule se girna girke sambhalna 

wo peetal ke chhalo ke pyare se tofe

wo peetal ke chhalo ke pyare se tofe

wo tuti hui chudiyo ki nishani 

wo tuti hui chudiyo ki nishani

kabhi ret ke unche teelo pe jana 

kabhi ret ke unche teelo pe jana 

gharonde banana banake mitana 

wo mausum chahat ki tasveer aapni 

wo khawabo khilono ki jaagir apni 

na duniya ka karm tha na rishto ka bandhan 

na duniya ka karam tha naa rishto ka bandhan 

badi khubsurat thi wo zindagaani 

badi khubsurat thi wo zindagaani

Explore this song