Roman script

ye chand sa roshan chehra, julfo ka rag sunhara

ye jhil si neeli aankhe, koi raaz hain inme gahra

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

ek chiz qayamat bhi hain, logo se suna karte the

tumhe dekh ke maine mana, wo thik kaha karte the 

wo thik kaha karte the 

hain chaal me teri jalim, kuch aisi bala ka jadu

sau baar sambhala dil ko, par hoke raha bekabu

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

ye chand sa roshan chehra, julfo ka rag sunhara

ye jhil si neeli aankhe, koi raaz hain inme gahra

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

har subah kiran ki laali, hain rang tere gaalo ka

har sham ki chadar kaali, saya hain tere baalo ka

saya hain tere baalo ka

tu balkhati ek nadiya, har mauj teri angdai

jo in maujo me duba, usne hi duniya payi

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

ye chand sa roshan chehra, julfo ka rag sunhara

ye jhil si neeli aankhe, koi raaz hain inme gahra

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

main khoj me hu manzil ke, aur manzil paas hain mere

mukhde se hata do aanchal, ho jaye dur andhere 

ho jaye dur andhere 

mana ke ye jalwe tere, kar denge mujhe diwana

ji bhar ke jara main dekhu, adaaz tera mastana

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

ye chand sa roshan chehra, julfo ka rag sunhara

ye jhil si neeli aankhe, koi raaz hain inme gahra

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya 

taarif karu kya uski, jisne tumhe banaya

Explore this song