Roman script

yahi hai tamanna tere dar ke samne 

meri jaan jaaye, meri jaan jaaye

hay yahi hai tamanna tere dar ke samne 

meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

tere dar pe aaya to bas aa gaya main

na pichhe hatunga jamane ke darse

abhi aa raha hu abhi kese jau

mila kya hai mujhko abhi tere dar se

jara dekh lu main yeh rukh ke bahare

yeh kad pyara pyara yeh julfon ke saye

hay yahi hai tamanna tere dar ke samne 

meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

gila hai yehi mujhko tere khuda se

hasin jisne itna banaya hai tujhko

na aata kabhi teri galiyo mein zaalim

tere husn ne khud bulaya hai mujhko

jalakar koi shamma kaise kahega

ke dekho yaha par na parwana aaye

hay yahi hai tamanna tere dar ke samne 

meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

mohabbat mein teri agar maut aaye

toh woh maut kitni hasin maut hogi

kisi roz main tera daaman pakadkar

jo mar jau kyaa dilnashin maut hogi

agar koi aisi ghadi aa rahi hai

toh meri dua hai woh jaldi se aaye

hay yahi hai tamanna tere dar ke samne 

meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

Explore this song