Roman script

yaha waha jaha taha mat poocho kaha kaha 

hai santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa 

jal me bhi thal me bhi, chal me achal me bhi 

atal vital me bhi maa 

apni santoshi maa, apni santoshi maa

yaha waha jaha taha mat poocho kaha kaha 

hai santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa

badi anokhi chamtkaarini ye apni maai 

ye apni maai, ye apni maai

raai ko parvat kar sakti, parvat ko raai 

parvat ko raai, parvat ko raai 

dwaar khula darbaar khula hai, aao bahan bhaai 

iske dar par kabhi daya ki kami nahi aayi 

daya ki kami nahi aayi 

pal me nihaal kare, dukh ka nikaal kare 

pal me nihaal kare, dukh ka nikaal kare 

turant kamaal kare maa 

apni santoshi maa, apni santoshi maa

yaha waha jaha taha mat poocho kaha kaha 

hai santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa

is amba me jagdamba me gajab ki hai shakti 

gajab ki hai shakti, gajab ki hai shakti 

chinta me doobe huye logo kar lo iski bhakti 

kar lo iski bhakti, kar lo iski bhakti

apna jivan saup do isko paa lo re mukti 

sukh sampatti ki daata ye maa kya nahi kar sakti

maa ye kya nahi kar sakti 

bigadi banaane waali dukhade mitaane waali 

bigadi banaane waali dukhade mitaane waali 

kasht hataane waali maa 

apni santoshi maa, apni santoshi maa

yaha waha jaha taha mat poocho kaha kaha 

hai santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa

gauri sut ganpati ki beti, ye hai badi bholi 

ye hai badi bholi, ye hai badi bholi

dekh dekh kar iska mukhada, har ik disha doli 

har ik disha doli, har ik disha doli 

aao re bhakto ye maata hai sabki hamjoli 

jo maagoge tumhe milega, bhar lo re jholi 

suno re bhaai bhar lo re jholi 

ujjwal ujjwal, nirmal nirmal 

ujjwal ujjwal, nirmal nirmal 

sundar sundar maa 

apni santoshi maa, apni santoshi maa

yaha waha jaha taha mat poocho kaha kaha 

hai santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa

apni santoshi maa, apni santoshi maa

Explore this song