Roman script

yaara teri galiyon mein yaadein huyi aawaara 

yaara teri galiyon mein yaadein huyi aawaara 

rag rag behati aankhein dar dar behaki yaadein

rag rag behati aankhein dar dar behaki yaadein

soyi soyi har gali se uth rahi hai sard saansein bhigi raatein

yaara inhi raahon pe tha dil kisi ne haara

yaara teri galiyon mein yaadein huyi aawaara

teri gali mein yaara kabse bhatak raha hoon

tu chilmano ke pichche main bepard jal raha hoon

hai dar badar fakiri tera hoon bas tera hoon

leke yahin tamanna ji ji ke mar raha hoon

chhuti chhuti jaaye raahi, ruthi ruthi si sadaayein 

uss athariya tera manjar ek leher si uth rahi hai dil ke andar

yaara tere kuche mein tuta hai koyi taara

yaara teri galiyon mein yaadein huyi aawaara

maangu khuda se abb kya,ik shab wasal ki paayi

kaisi kathin thi raahein kiitne thake the raahi

sehra mein thi aawaazei dekhi na par dikhaayi

dariya mein uthati mauje maujon se aashinaayi

sehra sehra teri aahat, dariya dariya teri chaahat 

baadlon ka chup se aana baras jaan kya haqiqat kya fasaana

yaara inhi ramjo mein paaya tera najaara

yaara teri galiyon mein yaadein huyi aawaara

Explore this song