Roman script

ye daulat bhi le lo

ye shohrat bhi le lo

bhale chhin lo mujh se meri jawani

magar mujhko lauta do bachpan ka saawan

wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani

wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani

mauhalle ki sabse purani nishani

wo budhiya jise bacche kahte the naani

wo naani ki baato me

pariyo ka dera

wo chehre ki jhuriyo me

sadiyo ka phera

bhulaye nahi bhul sakta hai koi

wo chhoti si raate, wo lambi kahani

wo chhoti si raate, wo lambi kahani

kadi dhup me apne ghar se nikalna

wo chidiya wo bulbul

wo titli pakadna

wo gudiya ki shadi pe ladna jhagadna

wo jhulo se girna

wo girke sambhalna

wo pital ke chhallo se, pyare se tohfe

wo pital ke chhallo se, pyare se tohfe

wo tuti huyi chudiyo ki nishani

wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani

wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani

kabhi ret ke unche tilo pe jana

gharonde banana, banake mitana

wo masum chahat ki tasveer apni

wo khabo khilaune ki jaahgir apni

na duniya ka gham tha

na rishto ke bandhan

badi khubsurat thi wo zindgani

badi khubsurat thi wo zindgani

Explore this song