Roman script

wo firaq aur wo visal kahan

wo shab-o-roz o mah-o-sal kahan

fursat-e-karobar-e-shauq kise

zauq-e-nazzara-e-jamal kahan

dil to dil wo dimagh bhi na raha

shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan

thi wo ek shakhs ke tasawwur se

ab wo ranai-e-khayal kahan

aisa aasan nahi lahu rona

dil mein taqat jigar mein haal kaha

hum se chhuta qimar-khana-e-ishq

wan jo jawen girah mein mal kahan

fikr-e-duniya mein sar khapata hu

main kaha aur ye wabaal kahan

muzmahil ho gae qawa ghalib

wo anasir mein e'tidal kahan

bose mein wo muzaiqa na kare

par mujhe taqat-e-sawal kahan

Explore this song